Bewafa Tera Masoom Chehra Lyrics by Jubin Nautiyal and Rochak Kohli is brand new Hindi song with music given by Rochak Kohli. Bewafa Tera Masoom Chehra song lyrics are written by Rashmi Virag and music video is directed by Navjit Buttar.
Bewafa Tera Masoom Chehra Lyrics
Woh bhi kya din the yaar
Tumhe dekh kar
Saari yaadein taaza ho gayi
Tumhare gale ki khanak
Aur aayat ki payal ki chhanak
Poora mohalla goonj uthta tha
Dil laga bhi liya
Ishq bhi kar liya
Chandni raat mein
Humne taare gine
Dil laga bhi liya
Ishq bhi kar liya
Chandni raat mein
Humne taare gine
Khwaab jaisa koyi
Khwaab thi zindagi
Neend tooti to
Aaya samajh yeh humein
Raah woh jispe main chal raha tha
Uski koyi bhi manzil nahi hai
Bewafa tera masoom chehra
Bhool jaane ke kabil nahi hai
Bewafa tera masoom chehra
Bhool jaane ke kabil nahi hai
Bewafa tera masoom chehra
Bhool jaane ke kabil nahi hai
Khoobsurat bohat hai tu lekin
Dil lagane ke kabil nahi hai
Bewafa tera masoom chehra
Bhool jaane ke kabil nahi hai
Bhool jaane ke kabil nahi hai
Ho meri yaadon se tu aaj-tak na gaya
Ankh mein baarishein teri maujood hai
Meri yaadon se tu aaj-tak na gaya
Ankh mein baarishein teri maujood hai
Aaj bhi mehfilon mein tere aur mere
Naam pehle ki tarah hi mash-hoor hain
Mere barbadiyon ki wajah mein
Kehte hain ki tu shaamil nahi hai
Katal baazar mein ho chuka hoon
Phir bhi tu mera katil nahi hai
Bewafa tera masoom chehra
Bhool jaane ke kabil nahi hai
Bhool jaane ke kabil nahi hai
Kabhi is ore kabhi uss ore chale jaate ho
Mohabbat humse wafa gairon se
Yeh hunar kahan se laate ho
Karwat badal leta hoon main aaj kal
Jo kabhi mere khwabon mein
Tum chale aate ho
Jhoothi wafaon ki jhoothi kahani
Hai toone sunayi mujhe
Mere liye to khuda bhi tha jhootha
Main sach maan baitha tujhe
Jhoothi wafaon ki jhoothi kahani
Hai toone sunayi mujhe
Mere liye to khuda bhi tha jhootha
Main sach maan baitha tujhe
Saare ke saare zakham hain sambhale
Jo toone diye the mujhe
Ab dhadakta hai seene mein mere
Hai woh patthar koyi dil nahi hai
Zindagi bhar jise maine chaha
Zindagi bhar jise maine chaha
Marke bhi mujhko haasil nahi hai
Bewafa tera masoom chehra
Bhool jaane ke kabil nahi hai
Bhool jaane ke kabil nahi hai
Bhool jaane ke kabil nahi hai