Tribute To Eminem Lyrics by Emiway Bantai is a tribute song to Eminem by Indian hip-hop singer Emiway. Get lyrics and music video of this song here.
Tribute To Eminem – Emiway Bantai
Pehle phat’ti thi chadhne mujhe stage mein
Itna sa tha fancy show mein
Shaktiman ke bhes mein
Liya tha mic hath mein
Teacher khadi thi sath mein
Main rone laga
Teacher boli ro mat beta
Pakdi hoon na hath main
Phir baad mein 10vi mein
Jab padta tha Jay Pol ne
Bataya mujhe Eminem ke baare mein
Nahi pata tha kya hota hai rap kya hip hop
Lekin gyan diya mujhe
Mere Eminem ke gaane ne
College mein jaata tha lekin poora samay
Gana sunke main bitata
Practical ka book khaali rehta
Peechhe se bhar jaata
Peechhe gaana likhta jaata
Teacher class se bhagata book phaad ke
Lekin tera bhai jhanda gaad ke
Baith chuka tha karunga rap
Padhunga rap, banunga rapper
Lekin main kahan par
Kho chuka tha mujhko khud ko nahi khabar
MBBS karne nikla 12vi mein tha ye darr
Tapak na jaaun, latak na jaaun
Bhatak na jaaun waich hua
Khud hi khud se maine khud ke liye
Khoda tha kua
Lekin mere kue se nikla paani
Rap karne laga sabko batane laga kahani
Gaana likh ke abba ne bola gaane tere fikke
Angreji mein karega rap nahi chalenge sikke
Phir theek hai abba ki baat sun li maine
Aur Bantai gaane ke aaj bhi kitne fan hain
Bolo!
Aur bantai kya bolte tum
Nashta paani karke piye chaay mein cheeni kam
Koyi maare dum to, koyi chilam
Sab pukare ek hi naam bhole bum bum x (2)
I’m back, I’m back
Bhai tera dera hai comeback
Jahan pe hum khad ja rahe
Sab ja rahe hain beta back back
Snapback mere sar pe
Public ka ho rela bag-pack
Badla lene pe aate to
Kar daalte seedha hijack
Pyar se rehte to swabhaw poora shaant
Yede chaali kar dega to seedha Rajinikanth
Yennada Rascala ek ko la
Ya phir jaa ke 10 ko la
Baat mere full vastav bohat hard 50 tola
Kho diya khud ko
Main khud ke hu raahon pe
Baaton pe nai bharosa hai kitaabon pe
Jo maine likha hai padke suna doon
Aaj sabko bata doon yeh daastan
Chehre mere ghere pade kaafi sare dard se
Ghere pade chehre mere bohat saare dar se
Ghar se nikalna mushkil hai
Baaton se buzdil hai phokat ke phokat yeh log
Bandook ki goli ki tarah yeh chote hain
Chhoti baatein aur yeh chhoti yeh soch
Tera bhai top bamb
Phat’ta main zor se
Karta main shor kam
Kyon ki logo ko kam samajh aata
Sab karte vaade par koyi nahi nibhata
Aadhi zindagi main Bata pe kata
Nike Adidas se mera ab hua nata
Aur bantai kya bolte tum
Nashta paani karke piye chaay mein cheeni kam
Koyi maare dum to, koyi chilam
Sab pukare ek hi naam bhole bum bum x (2)