Hua Hai Aaj Pehli Baar Lyrics from Sanam Re in the voice of Armaan Mallik and Palak Muchhal. Its lyrics are written by Manoj Yadav while music is composed by Amaal Mallik.
Hua hai aaj pehli baar
Jo aise muskuraya hun
Tumhe dekha jana ye
Ke kyon duniya mein aaya hun x (2)
Ye jaan le karke jaan meri
Tumhein jeene main aaya hun
Main tumse ishq karne ki
Ijazat Rabb se laaya hun
Zamin se aasman tak hum
Dhund aaye jahaan sara
Bana paaya nahi ab tak
Khuda tumse koi pyara x (2)
Baato mein teri hai badmashiyan
Sab bewajah ki hain taarifiyan
Main likh dun aasman par ye
Ke padh lega jahaan sara
Hua na hoga ab koi
Yahaan hum do sa dobara
Main duniya bhar ki taarifein
Tere sajde mein laya hun
Main tumse ishq karne ki
Ijazat Rabb se laaya hun
Rabb se laaya hun
Rabb se laaya hun
Tu hai jo roobaru mere
Bada mehfuz rehta hun
Tere milne ka shuqrana
Khuda se roz karta hun x (2)
Humko pataa hai ye naadaniyan haan
Aawara dil ki hain aawaraiyan
Ye dil paagal bana baitha
Isse ab tu hi samjha de
Dikhe tujhme meri duniya
Meri duniya tu ban ja re
Hun khush qismat jo qismat se
Tumhe aise main paya hun
Main tumse ishq karne ki
Ijazat Rabb se laaya hun